MIND RUBRICS Abrupt

MIND RUBRICS Abrupt

Hindi meaning :-
Aakashmik
Apratyasit
Rukha
Amaitripurna.

English meaning:-
unexpectedly
sudden
Rudely
Curt
Brusque.

Cross reference:-
Answer , abruptly; rudely ,
Answer hastly
Harshness, impolite talk indisposed to.
irritability , questioned , when.
Talk , taking , talk , abrupt
Talk talking , talk terse.
Rubrics which r related to abrupt.
Abrupt; yet affectionate.
Abrupt harsh .

explanation :-
ABRUPT

English:- when a patient has developed a habbit of doing things unexpectedly or changing the decision suddenly howsoever important it may be.
When the person talks in a harsh tone specially when he is questioned or it may be his routine way of talking with other people.

Hindi explanation:- jab kisi vyakti ka vyavhar aaksasmik aur apratyasit tareeke se rukha , aur amitripurna ho jata hain.
Yani ki ye sab cheeje achanak hi uske andar dovelop ho jati hain, person aisi cheeje karne lag jata hai, jiski kisi ko ummid bhi nahi hoti hain.

jab person kisi se bahut gande tareeke se bat karne lagta hain,

Agar person se koi kuch puchhe to vo bahut rukha sa answer deta hain, ya gande tareeke se bat karta hain, agar uski daily routine k bare me koi bat kare ya usse kuch puchhe to vo gussa ho jata hain , uska behaviour change ho jata hain.

Aap kese is cheej ko malum karege

Dr. Saab agar koi mujhse mere bare me meri daily routine k bare me bat karta hain, to mujhe bahut ajeeb si feeling aati hain, main unko acha jawab deta hu , ki bas apne kam se kam rakho , mujhe ye sab pasand nahi hain.
Jab aapke clinic me koi patient aata h, jisko aapne medicine di thi,
Aur vo aapke pas dubara se aaya agar use result nahi mila ,
To uska behaviour aapke lie harsh ho sakta h , suddenly uska behaviour rukha ho jata hain, aapke lie .
Kya batau pata nahi kese dawai dete h aap bilkul bhi aaram nahi h,
Aap ke lie bhi uska behaviour 

da ho jata hain.
Jab ki first meeting me vo aapko kafi acha laga tha.
Aur second meeting me usne suddenly apna behaviour change kar lia....

Rubrics related with abrupt .

⏯Abrupt ; yet affectionate.

Aise logo k lie patient ka behaviour rukha hota hain, jo unke kafi snehi hote hain.

Abhi tak ya ab tak jo uske kareebi the , jinhe vo pyar karta tha, jinhe vo sneh karta tha ,
Ab unke lie uska behaviour abrupt hain.
Unke lie suddenly uske behaviour ka change ho jana, unke lie uska behaviour ganda ho jana.

Ye aur bhi jagah aur conditions me apply ho sakta hain.

Dr. Saab jinhe main bahut pyar karta tha, unke lie bhi mera behaviour suddenly change ho gaya h , ganda ho gaya hain, unfriendly ho gaya hain.

Ye patient aapko khud bhi bata sakta hain, 
Ya uske sath vale , ghar vale bhi bhi aapko bata sakte hain.

Abrupt , harsh

Very strict and unkind

Bahut hi jyada kathor ya nirmam rukha pan kisi bhi person k lie.

Patient ka behaviour kisi k lie bahut ganda ya nirmam ho jata hain.

Dr. Saab inka behaviour suddenly bahut ganda ho gaya h , itne jyada nirmam aur kathor ho gae hain , achanka se hi ye sab hua h kuch samajh me nahi aata ki ye kya hua hain inhe.

Ye patient apne lie bhi bol sakta hai ; ya uski wife ya uske sath vale bhi bol sakte hain.

Get more updates
Download android app homoeopathy info now

https://goo.gl/sKN7jh

No comments:

Post a Comment

Verbascum – Verbascum Thapsus

Verbascum – Verbascum Thapsus  This homeopathic medicine Verbascum thapsus is very effective in curing ear aches and ear infecti...